Wednesday, August 11, 2010

Poem on my poem

"Thoughts to share" zalim band nahi karta hia,

Weekend aane ka sala jaise wait he karta hai.

Dard aapne dewwane ko ya aise he try karta hai,

koi to wajah hai warna aise koi shayar thodi banta hai.


Bas thodi si info thode se moments kya diye

ye parwana shuruat hi kar deta hia.

kon kahe isse jaanam samajne ki baat hai

Weekends pe mail box band honeki baat hia.


likhna ki jane kisni advice de dali hai,

ye nadani ne ise dil pe he laga dali hai .

consti me shayad wo freedom wala para padh liya hoga

roko shikari ko ye aaj bhi shikar pe nikal padha hoga.


koi dost ne isse buzubaan to nah keh diya hia.

koi guru ne ye imhtihaan to na le liya hai,

choriya to shayad is likhne ko na kehgi.

To fir ye sharat sharyi kehse likhta hia..


airtel walo ka add kya isne dekha hai,

ya gulzaar ki kaalam ka ek paigam koi dekha hai,

Dard aapne dewwane ko ,ya aise he try karta hai,

koi to wajah hai warna aise koi shayar thodi banta hai.


dosto kon malum koi padhe na padhe aapna to ye fasana hai ,

banegi aapni baat bas aap logo ko itna he batana hai,

wo last bench ki understanding ko fir public tak pahuchana hai,

irada aur kuch nahi bas aap logo ka ek pal churana hai.


Fir "Thoughts to share" ye baand nahi hogi,

yeh mail box ki entry fir kaam nahi hogi,

yaad hame fir jis kisiki bhi aayegi,

kasam khuda ki wo cheez fir ek shayari ban jayegi.

No comments:

Post a Comment